Tuesday, January 24, 2017

My Mobile's Archives


My Mobile's Archives
.
Introduction

      Specially when my mobile (Nokia c1-01) was new I used to play with it's different features. And during that playing I found a feature called 'notes'. 'Notes' was like a tiny text editor with ability to make 20 different entries. So I wrote different things on different times in 'notes' as if it was a diary.
      Following are some old samples from entries in 'notes' of my mobile.
.
.
My 1st Mobile - [20110822Mon]

My first mobile phone
gifted by Naveed, my younger brother,
on my birthday, '21st August'.
Mobile was given to me on 20th August 2011.
...
I am writing this text on 20110822Mon.
.
.
Fatima Park - [20110901Thu]

PST 09:11 AM baj rahe hain
and
I am in Fatima park
Enjoying pursukoon mahool as no one else is here.
Sanata hae per achha hae.
Kuchh dair main wapis chala jaoon ga.
...
Wapis ja raha hoon aur PST 09:45 AM baj rahe hain.
.
.
CBM Park - [20110910Sun]

      PST 09:00 AM baj rahe hain aur main Fatima park se CBM park aa geya hoon. Halki, halki hawa chal rahi hae. Aasman pae safaid aur halke seyah color ke badal khraman, khraman mashriq se maghrib ki taraf mahoo e perwaz ' ja rahe' hain. Eka duka garyon, motercycle etc ke main road pae chalne ki awaz aa rahi hae. Mali machine se ghans kat raha hae. Machine ki kher, kher park ke khamosh mahol main kanon ko kafi bhali lag rahi hae. Aik 2 aur log bhi park enjoy ker rahe hain. Likhte, likhte 09:44 am ho gae haen aur main bhi wapis ja raha hoon.
.
.
Water Motor - [20111012Wed]

I changed pin in valve of under-water pipe
connected to small water motor of under-ground water tank.
Work started on 11:09 AM and ended on 01:09 PM.
I do not know why pin breaks again and again.
.
.
Gul e Mohor

[20111016Sun]
---
      Aaj subha taqriban 07:60 am baje CBM park ja ker maen ne 2 pode lagae. Un maen se aik Gul e Mohor tha. Donon podon main pani bhi dala 4, 4 ltr jo maen gher se saath le gea tha. Aur wapis chala aaya.
[Date/Time not written]
---
      Gul e Mohor ab tak laga howa hae, baqi pode sar gae.
[20160407Thu - PST 01;17 PM]
---
      Gul e Mohor bhi naheen raha. Nam o nishan tak ghaib hae. Garha bhi naheen hae.
.
.
Fall in Mosque - [20111108Tue]

      Bari eid ke doosre din taqreeban 07:30 am Masjid main gayoon ki qurbani dekhte howe main seerhyon se gir gea aur donon peron main chot aaee. Dain pair ke ghuthne main khrash aaee aur bain pair ki pindli main chhoti si chot aaee. Donon choton se khoon nikla lekin baha naheen. Donon peron ke anghoothoon main bhi chot aeen. Kafi derd bhi tha lekin ab theek hae. Aage dekhte hain. ALLAH khair kare ga.
      Masjid main gai main bhai ne hissa lya howa tha. Tou ussi silsile main wahan khara tha. Lekin kyon ke platform ooncha neecha tha tou is wajah se mera pair phisal gea.
      Main gira, chot lagi aur khoon bhi nikla lekin kapron ko kuchh naheen howa. Yaqinan Masjid, Eid aur Qurbani ki barket ki wajah se .
.
.
My 1st SIM - [20130326Tue]

      Aaj mobile ke lye SIM lee apne naam pae. Pehle online number book kerwaya, phir SIM company ki qaribi frenchise ja ker SIM le lee, Rs125 ki.
Number 0CCCWDDMMYY hae. Jis maen:
0CCC: SIM company number
W: Day of Week index
DD: Date of Month
MM: Month Index
YY: Year without century
hae.
------------
Yani number main meri date of birth hae.
.
.
1000000 digit number - [20151006Thu]

      Today I multiplied two 500000 digit numbers, containing random numbers of base 4294967296 (2^32) at each digit position, together resulting in 1 million digit number of base 4294967296 (2^32).
.
Written and compiled in: gcc.
On Computer: Pentium 3.
Ran on: i5.
Time consumed in multiplication: 00:30:05.000
.
.

[Update - 2017Jan28Sat]
      Today I started working on this post with a plan to see how I can devide it to many smaller posts and add details where required but ended up making it colorful and adding animation feature to it.


No comments:

Post a Comment